Lyrics

Chhipe Sandookon Mein Ye phate kapde bolte hain jyada sabhi dooto se Jo khud ka pet maarke hain rakhte sabhi pooton ke Pet bhare, jake kabhi puchna inn bhookhon se Tum mera ek sawal bar bar Kya ye sukh mein hain? Jiske liye pita ki peeth hi ek gaadi hai Uss peeth ki bas boriyan hi aur sawari hain Neend ka samay jab boriyan bichadi hain Woh kya kare jab uska waqt hi shikari hai Jaha pe ho jati ek bund ke liye ladai Jaha pe dil pe rakhna patthar bhi hai ek padhai Aur khel kud ki umar mein dikhti sirf kamayi Jis begunah ki dena chahta na koi gawahi Kya woh sukh mein hain? Rehne ko ghar hai, sabhi suvidha aur gadi bhi hai Plate mein khana, gadde bistar, aur pani bhi hai Aur jinko poora karna aise dekhe khwab kayi hain Par khud ke mann ka kuch bhi karne ki azadi nahi hai Jispe laxmi mata ki kripa woh dhanwan Aur paison ki kami ki dikkaton se anjan Par phir bhi dil hai karta rone ka har pal har sham Lagti duniya uspe haavy, kyon woh khud na jaane Kala jisse pasand woh uske gun gaye Har waqt hi soche uske baare baki bhool jae Dar dar woh bhatke manyata ko par sorf dhool chate Plate mein khana nahi aur din bhar ghut ta hai Kya woh sukh mein hain Ye duniya bhari dukh se Har koi ghutta khud mein Phir Chahe chhota bada, Star na dekhta ye dukh hai
Writer(s): Rishab Sachan Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out