Lyrics

Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon, Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai, Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon Teri Hi Soorat K Daikhnay Ko, Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon Ke Khoobiyaan Sub Ki Jama Ker Ke, Tera Tasawwar Jama Raha Hoon Kafan Mein Khudh Ko Chupa Dia Hai, Ke Tujh Ko Parday Ki Ho Na Zehmat Naqaab Apne Liyeah Bana Ker, Hijaab Tera Utha Raha Hoon Udhar wo ghar se nikal pare hein, idhar mera dam nikal raha hai Ilahi kaise hai yeh qayamat, woh aa rahe hein mein ja raha hoon Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat, Kahaan Hai Imkaan E Tark E Ulfat Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay Hein, Mein Un Ko Jitna Bhula Raha Hoon Zubaan Pay Labaik Her Nafas Mein, Jabeen Pay Sajda Hai Her Qadam Pay Yoon Ja Raha But-Kaday Ko Natik, Ke Jaisay Kaa'bay Ko Ja Raha Hoon Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon, Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai, Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon
Writer(s): Nusrat Fateh Ali 00162342985 Khan, Mujahid Mubarak Ali Khan, Farukh Fateh Ali Khan Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out