Lyrics

dil mai ho dard to dava kijya dil he ho dard to kya kijya hum ko faryaad karni atii ha app sunta nahi to kya kijya ranj utana sa b kushi hogi pahla dil dard asheena kijya moot atti nahi kahi Ghalib kab tak afsoos is ka kijya dard se mere hai tujhko beqarari hae hae kya hua zalim teri gaflatashi'ari hae hae tere dil mein gar na tha ashob-e-gham ka hausla tu ne phir kyun ki thi meri gham-gusari hae hae kyun meri gham-khwaragi ka thujhko aya tha khayal dushmani apani thi meri dostdari hae hae umr bhar ka tune paiman-e-wafa bandha to kya umr bhar ko bhi to nahi hai paydari hae hae zahar lagti hai mujhe ab-o-hawa-e-zindagi yani tujhse thi ise nasazgari hae hae gulfishani hae naz-e-jalwa ko kya ho gaya khak par hoti hai teri lalakari hae hae sharm-e-ruswai se ja chupna naqab-e-khak mein khtam hai ulfat ki tujh par pardadari hae hae khak mein namus-e-paiman-e-muhabbat mil gai uth gai duniya se rah-o-rasm-e-yari hae hae hath hi tegzama ka kam se jata raha dil pe ik lagne na paya zakhmkari hae hae kis tarah kate koi shab hae tar-e-barshigal hai nazar khunkarda-e-akhtarshumari hae hae gosh mahjur-e-payam-o-chashm mahrum-e-jamal ek dil, tis par ye na-umidwari hae hae ishq ne pakra na tha "Ghalib" abhi wahshat ka rang rah gaya tha dil mein jo kuch zauq-e-khwari hae hae
Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out