Lyrics

Mangte Hain Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein Din Raat Madinay Ki Dua Maang Rahay Hein Mangte Hain Unke Mangte Hein Husn Pay Jin Ke Jag Matwala Naam Hai Jin Ka Qamli Wala Hum Un K Mangte Hain Mangte Hain Sanad Joh Rakhtay Hein (Sanad = Qualification) Mehshar Mein Mo Dikhanay Ki Hum Un K Mangte Hein Naaz Jiss Baat Pay Hai Woh Baat Yeah He Hai K Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein Hum Hein Ghulaam (Ghulam = Slave) Un Ki Ghulami Pay Naaz Hai Mangte Hein Un K Mangte Hein Dozakh Nai Hum Ko Daikh K Malik Say Kaha Ay Malik Chor Un Ke Mangte Hein Un K Mangte Hein Nigaah-E-Karam Say Hum Ko Na Daikh Ay Dozakh Kia Pata Nahi K Hum Kiss K Mangte Hein Mangte Hein Ay Daikhnay Waloon Hamein Hans Hans K Na Daikho Kia Pata Nahi K Hum Kiss K Mangte Hein Mangte Hein Un K Mangte Hein Mangte Hein Mangte Khaali Haath Na Lotay, Kitni Mili Khairat Na Poocho (Khairat = Charity) Un Ka Karam Phir Un Ka Karam Hai, Un K Karam Ki Baat Na Pocho Un Ke Mangte Hein Un K Mangte Hein Mangte Hein Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein Din Raat Madinay Ki Dua Maang Rahay Hein Kam Maang Rahay Hein Na Siva Maang Rahay Hein Jaisa Hai Ghani, Waise Ataa Maang Rahay Hein (Ghani = Opulent, Rich) Mangte Hein Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein 10: 00 Jaisa Hai Ghani Aisa Hai Ghani Woh To Aisa Hai Ghani Khud Bheek De Aur Khud Keh Mangte Ka Bhala Ho Zara Unka Dunya Mein Rehna To Daikho Woh Pathar Ka Tak'kia Aur Kaali Kamarya Woh To Aisa Hai Ghani Zamane Ka Data Magar Ghar Mein Faqa Khudai Ka Malik Magar Pait Khaali Woh To Aisa Hai Ghani Koi Mere Mehboob Sa Dunya Mein Nahi Hai Betha Hai Chata'ii(Rug/Mat) Pay Magar Arsh-E-Nasheen Hai Woh To Aisa Hai Ghani Jaisa Hai Ghani Waise Ataa Maang Rahay Hein Mangte Hein Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein Her Naimat-E-Qonain Hai Daman Mein Hamare Hum Sadqa-E-Mehboob-E-Khuda Maang Rahay Hein Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein Yoon Kho Ga'ay Sarkaar Ke Altaf-O-Karam(Kindness) Mein Yeh Bhi To Nahi Hoosh Ke Kia Maang Rahay Hein Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein Ey Dard-E-Mohabbat Abhi Kuch Aur Fusuun? Ho 16: 00 Dewanay Tarapnay Ki Ada Maang Rahay Hein Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein Sirkar Ka Sadqa(Alms) Meri Sarkar Ka Sadqa Yeh Zameen Aasmaan Yeh Makaan LaMakaan Meri Sarkaar Ka Sadqa Dono Jahaan Ka Noor Mohammad Ke Roop Mein Qur'an Ka Sha'oor Mohammad Ke Roop Mein Allah Ka Zahoor Mohammad Ke Roop Mein Such Hai Ke Yeh Taghayyur-E-Dunya Khuda Se Hai Laikin Yeh Kainaat Faqat Mustafa Say Hai (Faqt = Only) Meri Sarkaar Ka Sadqa Sirkaar Ka Sadqa Meri Sarkaar Ka Sadqa Mohtaaj-O-Ghani Shah-O-Gada Maang Rahay Hein Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein Ub Laaj Tere Haath Hai Ey Rehmat-E-Qounain (Laaj = Modesty) Ghum Ke Maarey Hein, Be-Sahare Hein Kuch Bhi Hein Aaqa Hum Tumhare Hein Ub Laaj Tere Haath Hai Ey Rehmat-E-Qounain Mudfun Ko Madinay(Medina) Mein Jaga Maang Rahay Hein (Madfun = Tomb) Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein Asraar Karam Ke Faqh? Un Per He Khulay Hein Koi Data Bana, Koi Khuwaja Bana, Koi Ghous Bana, Koi Dehli Mein Ja Ke Nizami Bana, Koi Ganj-E-Shakar Ba Khuda Ho Gaya Asraar Karam Ke Faqt? Un Per He Khulay Hein Jo Tere Waseelay Say Dua Maang Rahay Hein Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein Damaan-E-Amal Mein Koi Neki Nahi Khalid Bus Naat-E-Mohammad Ka Sila Maang Rahay Hein Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein Din Raat Madinay Ki Dua Maang Rahay Hein Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein Mangte Hein Karam Unka...
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Abdul Sattar Niazi Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out